Thursday, December 3, 2009

kitni ajeeb hai ye zindagi

kitni ajeeb hai ye zindagi
ye zindagi kitni ajeeb hai
jisne jo chaha usse wo na mila
kisi ko anchahe hi sab kuch mila
jise dhoop ki aas thi
usse chaya mili
jise dualat ki zarurat thi
usse garibi jhelni padi


kitni ajeeb hai ye zindagi
ye zindagi kitni ajeeb hai
kabhi ye anjani hai
kabhi ye jani-pehchani hai
kabhi ehsaas hua
ki ise pichle mod par chod dia
kabhi agle mod par hi
isse mulakat ki ummeed hai


kitni ajeeb hai ye zindagi
ye zindagi kitni ajeeb hai
koi isse na-ummeed hua
koi isse jeet gaya
jisne maut ki dua mangi
use duniya dekhni hi padi
jisne jeena chaha
use rab ne apne pas bula liya

ye zindagi kitni ajeeb hai
kitni ajeeb hai ye zindagi...........

click here
click here

dil ki baat zuban pe thum jati hai

dil ki baat zuban pe thum jati hai
woh aksar humse kaha karti hai
muhabbat kisi se woh karti hai
par naam lene se darti hai
humne bhi yeh baat jaani hai
woh ho humari zindagani hia
saath uska humesha denge
mohabbat sirf usise karenge
kisi aur ko na apna manenege
uske humsafar na sahi humraz hi banenge..........

click here
click here

hum dosti ehsaan wafa sab bhul gaye hai

hum dosti ehsaan wafa sab bhul gaye hai
zinda toh hai magar jeena bhul gaye hai...........

click here
click here

gar bhul jata bhula dene se koi

gar bhul jata bhula dene se koi
yad na aata yad karne se koi
ye to tere ishq ka suroor hai
warna hum behkte toh tab bhi nahi
jab pila hume deta koi..............

click here
click here

raat bhar hum baarish me bheegte rahe

raat bhar hum baarish me bheegte rahe
baarish k paani me apne ashq chupate rahe
ye soch kar k tum bura maan jaoge
hum apne gum khud se hi chupate rahe...........

click here
click here

maana k aj hum akele reh gaye

maana k aj hum akele reh gaye
judaai k aansu aankho se beh gaye
rote rahe k koi chup karayega hume
magar jo chup karate the
wohi rone ko keh gaye
unhe dekh kar aansu gir pade
bhari basant me jaise phool bikhar pade
dukh woh nahi ki unhone hume alvida kaha
dukh toh yeh hai k uske baad woh khud bhi ro pade.........

click here
click here

kuch khwab aise hote hai

kuch khwab aise hote hai
jo tut jae toh awaz bhi nahi hoti
hume hansne ki na rone ki ijazat hoti hai
bas ankhon me moti bikhar ke reh jate hai
aur kuch yade sath reh jati hai...........

click here
click here

unka zakhm dene ka andaz kuch aisa hai

unka zakhm dene ka andaz kuch aisa hai
zakhm de kar puchte ha k haal kesa hai.........

click here
click here

tujhe paya toh laga jese zindagi mil

tujhe paya toh laga jese zindagi mil gai
ab tujhe khone se darta hai dil
bahut tanha reh liya
ab tera satrh chahta hai dil
zindagi ki raho pe tujhe
humsafar banana chahta hai dil........

click here
click here

tumse mil kar jana k

tumse mil kar jana k
ye pyar bhi ajeeb hota hai
insaan khud ko hi bhul jata hai
esa kyu hota hai?..........

click here
click here

bhulte nahi kabhi apko

bhulte nahi kabhi apko
ye kaise batayenge
apki ehmiyat kya hai
ye kaise samjhayenge
aasma se uncha hai
rishta ye apna
labzon me ise
kese bayan kar payenge......

click here
click here

i have no frenz but only you

i have no frenz but only you
for me everything is you
in my hear no one resides except you
i'll always keep luvin you...........

tera chehra nazron se hut ta nahi

tera chehra nazron se hut ta nahi
teri yad dil se jaati nahi
jabse dekha hai tujh ko
in aankhon ne kuch aur dekha nahi
ab toh aalam yeh hai
ki tere siwa kisi aur ke saath
jeene ki chahat nahi............

zindagi yuhi haseen thi

zindagi yuhi haseen thi
kuch meethi kuch namkeen thi
har lamha jee rahe the
har yad iss dil me kaid kar rahe the
na jane kaun iss dil me dastak de gaya
ki na ab purani yadein hai na zindagi hai
jo hai meri khushnasibi hai
ab uski hi yaad zehen me basi hai
woh kal tak tha ajnabi
par ab apna ban gaya hai
uski i tasveer aankho me samayi hai..........

pehle karta tha

pehle karta tha
mujhse milne ke bahaane kitne
ab guzarega
mere sang zamaane kitne.............

khwabo me ,khayalo me

khwabo me ,khayalo me
sirf tum ho
dil me ,dhadkano me
tumhi ho
aankho me basa hai jiska chehra
woh tumhara hai
chaya hai jiska junoon
tum ho
dekh ke aata hai jisko sukoon
tumhi ho
tum meri har aarzoo me ho
tum meri har dua me ho...................

unse roz milne ko dil chahta hai

unse roz milne ko dil chahta hai
kuch sunne sunane ko dil chahta hai
unka manane ka andaz kuch aisa hai
k fir ruth jaane ko dil chahta hai.........

chote se dil me koi armaan rakhna

chote se dil me koi armaan rakhna
duniya ki bheed me pehchan koi rakhna
acha nahi lagta jab rehte ho udaas
inn hoton pe sada muskurahat rakhna..........

hans ke aur ro e

hans ke aur ro e
mene tumse pyar kiya
zinda reh ke aur mar ke
mene tumse pyar kiya
yad nahi na jane kab se
mene tumse pyar kiya
itna yad hai par
bade pyar se tum se ishq kiya.........

tum bin kahi karar na aye

tum bin kahi karar na aye
toh kya karu
har pal apki yad sataye
toh kya karu
tumhari toh zid k
mai tumhe bhul jau
magar dil se tumhari yad na jae toh kya karu........

jati nahi aankho se ab surat unki

jati nahi aankho se ab surat unki
jaati nahi dil se ab mohabbat unki
mehsoos yeh hota hai k jeene ke liye
pehle se zyada ab zarurat hai unki..........

nasha humne uski aankho me paya.....

nasha humne uski aankho me paya.....
apni hasti ko uspe mitaya.....
kya kare ab hum khuda ki ibadat....
jab usi me humne apna khuda paya.....


click here
click here

kuch dard seene me ab bhi hai

kuch dard seene me ab bhi hai
kuch yaadein teri zehen me ab bhi hai
ek baar mud kar toh dekh le
tere baad mera saath deti ye saaki hai
tujhse to hum kya shikayat karte
gila toh hume khud se hi hai
kyu ek bewafa se dil lagaya
kyu uss par itna aitbar kiya
tujhe paa kar laga tha k
tujh par meri talaash khatm hoti hai
par jab aankh khuli to paya k
sapno ki umar zara kum hoti hai
ek baar toh mud ke dekh le
tere baad mera saath deti ye saaki hai
tujhse hi toh mohabbat ki thi mene
tere liye hi toh duniya ki har rasm todi thi mene
fir kyu mujhe tu chod chala gaya
kyu duniya ki bheed me mujhe akela kar gaya
tu dur chala jaega ye jante the
par dil ke itne kareeb reh jaega
ye na mante the
reh gayi hai jo iss dil me teri yadein
beet jaegi zindagi unhi k sahaare
ek baar toh mud ke dekh le
tere baad mera saath deti ye saaki hai ...............

click here
click here

unke mohabbat ka nasha kuch aisa hai

unke mohabbat ka nasha kuch aisa hai
hum khud ka naam bhul gaye hai
koi jo puche humse humara naam
toh hum unka diya naam batate hai
ab toh aalam kuch aisa hai
koi humse humara pata bhi puchta hai
toh hum unka dil batate hai..............

click here
click here

aa ek baar to bata apne jane ki wajha....

aa ek baar to bata apne jane ki wajha....
hum bhi jane,,, meri dua me vo kaun si kami thi....

click here
click here

TUM BIN

TUM BIN

koi bhi aarzu nahi
koi khushi nahi
jab tu nahi toh
zindagi bhi zindagi nahi
raatein hai dur-dur tak
tanhaiyon bhari
aankho mein koi khwab nahi
neend bhi nahi...........

kehna bahut kuch chahte the unhe

kehna bahut kuch chahte the unhe
par zuba ne saath na diya
kabhi waqt ki khamoshi me
khamosh rahe hum
toh kabhi unki khamoshi ne
kuch kehne na diya.......

jeene ki nayi ada di hai

jeene ki nayi ada di hai
khush rehne ki usne dua di hai
e-khuda use saara jahan dena
jisne hume apne dil me thodi si jagah di hai

kese sukun paao,,

kese sukun paao,,
tujhe dekhne ke baad.........
ab kya gazal sunau ,,
tujhe dekhne ke bad...........
mujhe awaz de rahi hai meri zindagi,,
mein jaoo ke ne jaoo ...........
tujhe dekhne ke baad

tu jaha le jae waha chalu me

tu jaha le jae waha chalu me
tere sath har pal rahu me
khwahish bus itni h
tera hath humesha mere hath me rahe
tere liye khud ko bhula du me
tu kahe to duniya ko chod du me
khwahish bs itni h
tu humesha mere sath rahe

zindagi ke safar me akele the hum

zindagi ke safar me akele the hum
tanha e inn rasto pe bus yuhi chal rahe the
na koi manzil thi na safar ka pata tha
fir tum aaye aur sab kuch badal gaya
ab toh manzil bhi tum ho
aur humsafar bhi
aj khuda se dua maangte hai yahi
tum jaha rahi khush raho
chahe humare sath ya humse dur hi sahi